Challenge to All Astronomers (In Hindi)
Main Bobby Kumar iss poore vishwa ko btana chahta hun ki mere dwara bnayi gayi film A GENIUS MIND – 2112! Koi majak nahi hai. Maine iss film ko duniya mein hone waali tabahi se logo ko satark krne ke liye bnaya hai.. maine iss film mein darshaya hai ki kaise hamari prithvi ke glacier pighal kar samundra mein mil jaenge aur fir ye poori prithvi uss paani ki hahakaar se tahas nahas ho jayegi.. Humne 18 saal pehle hi iss khoj ke baare mein sampurna press walo ko btaa diya tha ki mangal grah par prithvi se pehle paani aur jeevan tha.. Iss vishv mein log kewal scientists dwara likhi gayi kitabi baato ko hi sunte aur samjhte hai unke liye kewal kittabi baatein maayne rakhti h.. Jab big bang theory ke bare mein vishv ke khagol vagyaniko ne btaya tha to sabne koi sawal jawab na karte huye usko satya maana, par akhir mein kya mila?…kuchh nahi..
Big Bang kaise hua?.. Kaha se aaya tha wo pind iss khali space mein jisse big bang hua?.. Kewal bolne se koi nahi maanta saabut ke saath saabit karna chahiye ki big bang kaise hua tha.. 14 arab saal lage the iss bramhand ko banne mein ..Iss par ek sawal aata hai ki Big bang hone ke baad ek aakash ganga ko liquid se thos roop mein aane ke liye kitna samay laga hoga? Kitna samay laga inn aakash gangao ko banne mein?.. Aur jab aakash gangayein bann gayi to kitna samay laga hamari aakash ganga mein hamare saurmandal ko banne mein?.. Hamara saurmandal ekdum se nahi bann gaya tha big bang hone ke kaafi samay baad hamara saurmandal bana tha… Inn sawalo ka jawab hai kya kisi ke paas?
Maine A Genius Mind 2112 mein 4 cheeze chhupayi hain agar aap logo pucchenge to main jarur btaunga.. Glacier pighal rahein hain ozone layer fatt rhi hain to iska jimmedar kon hain? Sab yahi bolenge Global warming pollution ki wajah se… To ye global warming tab kyu nahi huyi jab prithvi par dinosaurs ke vinash ke samay ulkapindo ki barsaat huyi thi uss samay bhi to pollution tha uss samay to aaj se 1000 guna jyada pollution tha…. Uss samay prithvi ke atmosphere mein carbon ki matra itni badh gyi thi ki prithvi par 6-7 mahino tak suraj bhi dikhayi nahi deta tha… Tab glacier kyu nahi pighle tab ozone mein chhed kyu nahi hua? Kisi ke paas koi jawab nahi hai.. Kewal global warming par ilzaam lagane se kuchh nahi hoga…
Maine film ke ending mein btaya hai ki jab hamari saari nadiyo ka paani samundra mein mil jayega tab hamari prithvi par parlay aayegi, pehle dheere dheere ozone layer nasht hogi fir ozone layer ke nasht hone ke baad gravity kamzor pad jayegi.. Yahi dono mukhya kaaran hai prithvi par jal pralay aane ke.. Iski shuruat ho chuki hai, Jaise Bar bar bhukamp aana , bina samay baarish hona, bina samay ke garmi aur sardi ka aana..
Ab main aapse gravity ko lekar kuchh sawal karta hun.. Vishv ke khagol vagyanik kehte hain ki prithvi par gravity hain aur hum sab bhi jaante hai ki prithvi par gravity hai, iske bawzood har cheez upar ki or hi kyu badhti hai?.. Gravity ka to kaam hai vastu ko apni or kheechna to koi cheez niche ki bajaye upar ko hi kyu badhti hai? Gravity khichne ki jagah cheezo ko feila kyu rahi hai?.. Ab sab ke paas jawab hoga Energy ki wajah se cheeze feil rahi hain.. Humari khane peene ki cheezo se humein energy milti hain aur hum issi wajah se gravity ko fail kar rahe hain.. Chalo thik hai humne maan liya.. Par ye bramhand mein konsi energy hain jiske kaaran ek aakashganga dusri aakashganga se door bhag rahi hain?. Aisi konsi energy hai jo waha par kaam kar rhi hai?.. . Iss sawal ka jawab to google aur vishv ke kisi bhi khagol vagyanik ke paas nahi hai… Agar de sakte hain to de inn sawalo ke jawab…
Aakhir kyu feil rha hai ye bramhand?.. kab tak ye aise hi feilta rahega?.. kabtak aakash ganagayein ek dusre se dooe bhagti rahengi?.. Bramhand mein gravity hai to wo kya hai jo iss bramhand ko feilata ja rha hai?.. Ye bramhand failta rahega ya kabhi aane waale samay mein fir sikud jayega?... Inn sawalo ke jawab kisi bhi maha gyani ya bade se bade scientist ke paas bhi nahi hai…
Mere upar tippani karne se pehle behtar ye hoga ki aap sab inn sawalo ke jawab apne prasiddh scientist se maange…
Barmuda triangle ke baare mein to sab jaante hain.. Kisi ke paas iss question ka jawab hai ki kyu waha par sabse jyada gravity hai?.. Kisi ke paas hai jawab?..
Ozone layer jo hamari suraksha kar rhi hai wo kaise bani?... Kewal prithvi par hi kyu hai jeevan?.. Sabhi graho par uske anussar gravity hai par kisi bhi anya grah ya chand par prithvi jaisi sthayi gravity kyu nahi hai?.. Puchho inn khagol vagyaniko ke scientists se google par khoj lo…. Sabhi scientist kehte hai ki jupiter ne asteroid ko banne hi nahi diya to kaise fir apne karib suraj ne mercury ko banne diya?.. Kisi bhi khagol vagyanik ke paas koi jawab nhi hai?
Main btaunga saari duniya ko sach…
Main karta hu challenge inn Khagol Vagyaniko ko ya chahe koi bhi gyani ho… Agar aap sawalo ke jawab janna chahte hai to mujhe phone kar sakte hain.. 09540374848..
No comments:
Post a Comment